Tuesday 29 December 2015

Aayurvedic beauty tips in Hindi



Twacha ki dekhbhal ke liye log kya kya nahi karte. Makeup karne se lekar surgery aadhi sab karva lete hai. Lekin kya aap jante hai ki twacha ke liye ayurveda ko apnana bahut faydemand ho sakta hai. Par log iss baare mai theek tarike se nahi jate hai. To chaliye aaj hum aapko batate hai, Ayurvedic Beauty Tips in Hindi.

Ayurveda ke nuskhe apna kar aap apni twacha mai nami barkarar rakh sakte hai. Saath hi isse aap apni skin ko mulayam  aur fresh bhi bana sakte hai. Twacha mai nikhar lane ke liye iska use khas tor par sondahar varadhak sadhano ke roop mai saalo se kiya aa raha hai.

Lekin dekha gaya hai ki apni skin ki khubsoorati ke liye log bahut sare mahnge product use karte hai lekin vo log natural  cheezo ka use bhul jate hai. Twacha aapke andurini swasth ke baare mai bahut kuch baate  bolti hai.

Ayurveda aapki tawcha ki kharab isthithi  ke ilaj ke liye bahut prabhavi hota hai, jese ki skin ki kisi bhi infection  ko khatam  karne ke liye iska naam sabse pahle aata hai. Par sabse badi baat hai ki inn tariko se aapki skin koi nuksaan kabhi bhi nahi hota hai.

Neem chandan aadhi kuch aam jadi buti hai. Jo kai prakaar ki twacha ki isthiti ko sudharne aur swasth twacha ko banye rakhane ke liye upyogi hota hai. To aaiye fir jante hai, Ayurveda se khubsoorati pane ke raaz.